Wednesday 10 August 2016

Sultan - Jag Ghoomiya

[Oo Oo Oo Oo]
X3

Naa Woh Ankhiyaan Ruhaani Kahin
Na Woh Chehra Nooraani Kahin
Kahin Dil Waali Baatein Bhi Na
Na Wo Sajri Jawaani Kahin
[Jag Ghoomiya Thaare Jaisa Na Koi]
X2
Na Toh Hansna Rumaani Kahin
Na Toh Khushbhoo Suhaani Kahin
Na Woh Rangli Adaayein Dekhin
Na Woh Pyaari Si Naadaani Kahin
Jaisi Tu Hai Waisi Rehna
[Jag Ghoomeya Thaare Jaisa Na Koi]
X4

Baarishon Ke Mausamon Ki Bheegi Hariyaali Tu
Sardiyon Mein Gaalon Pe Jo Aati Hai Wo Lali Tu
Raaton Ka Sukoon
Raaton Ka Sukoon Bhi Hai
Subah Ki Azaan Hai
Chaahaton Ki Chaadaron Mein Maine Hai Sambhaali Tu
Kahin Aag Jaisi Jalti Hai
Bane Barkha Ka Paani Kahin
Kabhi Mann Jaana Chupke Se
Yoon Hi Apni Chalani Kahin
Jaisi Tu Hai Waisi Rehna
[Jag Ghoomiya Thaare Jaisa Na Koi]
X2

Apne Naseebon Mein Yaa
Hausle Ki Baaton Mein
Sukhon Aur Dukhon Waali
Saari Saugaaton Mein
Sang Tujhe Rakhna Hai
Sang Tujhe Rakhna Hai Tune Sang Rehna
Meri Duniya Mein Bhi
Mere Jazbaaton Mein
Teri Milti Nishaani Kahin
Jo Hai Sabbe Ko Dikhaani Kahin
Tu Toh Jaanti Hai Marke Bhi
Mujhe Aati Hai Nibhaani Kahin
Wahi Karna Jo Hai Kehna
[Jag Ghoomeya Thaare Jaisa Na Koi]
X4

No comments:

Post a Comment